Wednesday, December 9, 2015

Bahoot Mayush Ho Gaya Hai Ab Dil Bechara.

Kahan Jaye Ye Jahan Mein Nafraton Ka Mara,
Bahoot Mayush Ho Gaya Hai Ab Dil Bechara.

Kuch Kehta Nahin Kabhi Shikwa Nahin Karta,
Sehta Rehta Hai Ye Tanha Hi Wo Ghum Sara.

Na Manzeel Hai Koi Nahi Koi Humsafar Is Ka.
Bhatak Raha Ye Bheed Mein Tanha Besahara.

Tootne Bikharne Ki To Ise Aadat Ho Gayi Ab,
Sirf Thokaron Mein Hua Hai Waqt Ka Guzara.

Gar Manzeel Se Bhatka To Phir Kahan Jaye Ye,
Waise Naam Bhi Mil Gaya Ab Ise Pagal Aawara.

Udti Khusboo Ko Mutthi Mein Giraftar Kya Karna



Main To Ek Khwaab Hoon Mera Aitbaar Kya Karna,
Udti Khusboo Ko Mutthi Mein Giraftar Kya Karna.   

Ye Sath Hai Apna Kuch Lamho Ke Liye Hi Bus,
Sham Ke Dhalte Huye Shaye Pe Ikhtiyar Kya Karna.

Mujhe Kyo Dhoondhte Ho Duniya Ki Bhid Mein,
Tanha Sakhs Ka Mehfil Mein Intezaar Kya Karna.

Meri Wo Quismat Hi Nahi Ki Koi Mujhe Soche,
Jahan Ke Samne Mera Zikra Bar-Bar Kya Karna.

Tanha Rehne Do Mujhe Chod Do Mere Haal Pe,
Nafrat Ke Kabil Sakhs Se Tumhein Pyar Kya Krana.