Monday, January 14, 2013

Kitne Ghamon Ke Badal Aaye Kitni Aansuen Tal Gayi, Dil Tha Ki Phir Behal Gaya Jaan Phir Sambhal Gayi, Khayalon Ke Jahan Mein Tere Husn Ki Shama Kya Thi, Dard Ka Chand Bujh Gaya Hizra Ki Raat Dhal Gayi, Jab Bhi Tujhe Yaad Kiya Meri Subah Mehak Uthi, Jab Tere Ghum Ko Jagaya To Raat Meri Machal Gayi, Har Baat Karni Thi Saaf Ye Soch Ke Chale The Hum, Kehne Mein Unke Samne Baat Kuch Badal Gayi, Agar Wo Samajhe Mere Khayalat Is Ghazal Se “ Raaj “ , Ehsaas Na Hua Subah Kab Hui Shaam Kab Nikal Gayi.

http://www.shers.in/ehsaas-na-hua-subah-kab-hui-shaam-kab-nikal-gayi-82161.html

Besabab Gunguna Rahi Hogi, Wo Mujhe Phir Bhula Rahi Hogi, Wo Mere Halat Dekhne Ki Khatir, Kadi Dhoop Mein Chhat Pe Aa Rahi Hogi, Aankhon Mein Aa Gaya Hounga Main Aansoon Bankar, Apni Palkein Wo Bhar-Bhar Jhuka Rahi Hogi, Mujhe Bhula Dena Nahi Hai Aasaan, Wo Bhi Tadap-Tadap Ke Aansoon Baha Rahi Hogi, Koi Kah Do Use “ Raaj “ Bhul Sakti Hai To Bhul Jaye Mujhe, Mujhe Bhulane Ke Liye Wo Khud Ko Bhula Rahi Hogi.

http://www.shers.in/wo-bhi-tadap-tadap-ke-aansoon-baha-rahi-hogi-82164.html

Aankhein

Mehki-Mehki Si Surmuyi Aur Gehri Aankhein,
Kitni Haseen Hai Aapki Ye Sunahri Aankhein,

Roshni Badh Gayi Hai Mere Jahan-E-Dil Ki,
Jab Se Dekhi Aapki Chand Si Roshan Aankhein,

Doob Jao Tum Aa Ke Tum Aankhon Ki Jheel Mein,
Mujhse Aksar Kehti Rahti Hai Aapki Aankhein,

Jane Kabse Intezar Mein Hai Aapke Rahon Mein,
Aapke Raste Pe Bichi Hui Ye Meri Aankhein,

Maut Ka Khof Hi Na Raha Mere Dil Mein “ Raaj “ ,
De Gayi Aisi Wafa Ki Zindagi Mujhe Nurani Aankhein.

Ek Ajab Khwaish Ka Ehsas Dilati Hai Tumhari Aankhein, Bhule Lamhon Ko Yaad Dilati Hai Tumhari Aankhein, Ek Ajab Nasha Hota Hai Tum Se Nazrein Milane Par, Door Se Hi Chahat Ka Jaam Peelati Hai Tumhari Aankhein, Ghaneri Palkein Dekh Unhe Chhune Ki Hasrat Jagti Hai, Dil Ko Din-Raat Tadpati Hai Ye Tumhari Aankhein, Saara Jahan Mujhe Un Aakhon Mein Nazar Aata Hai, Ek Mohabbat Ki Dastaan Batati Hai Tumhari Aankhein, Kash Tum Samajh Pate Khawaish-E-Dil“Raaj“Ki, Jane Kyun Nahi Raaj-E-Dil Batati Hai Tumhari Aankhein

Ek Ajab Khwaish Ka Ehsas Dilati Hai Tumhari Aankhein, Bhule Lamhon Ko Yaad Dilati Hai Tumhari Aankhein, Ek Ajab Nasha Hota Hai Tum Se Nazrein Milane Par, Door Se Hi Chahat Ka Jaam Peelati Hai Tumhari Aankhein, Ghaneri Palkein Dekh Unhe Chhune Ki Hasrat Jagti Hai, Dil Ko Din-Raat Tadpati Hai Ye Tumhari Aankhein, Saara Jahan Mujhe Un Aakhon Mein Nazar Aata Hai, Ek Mohabbat Ki Dastaan Batati Hai Tumhari Aankhein, Kash Tum Samajh Pate Khawaish-E-Dil“Raaj“Ki, Jane Kyun Nahi Raaj-E-Dil Batati Hai Tumhari Aankhein

Sunday, January 6, 2013

Dil Mein Lagi Hai Aag Ise Ab Bujhaye Kaun, Dhoond Rahe Gali-E-Yaar Unka Pata Bataye Kaun, Door Se Dekhte Hai Magar Haal-E-Dil Kahte Nahi, Darte Rahe Narajgi Se Zajbaat-E-Dil Sunaye Kaun, Mere Har Khawab Unse Hi Bawasta Hai Ab, Dil Mein Basi Soorat Unhe Dikhaye Kaun, Bhole Hai Ya Bante Hai Wo Nazarein Milne Par, Mere Iss Dil Ki Chahat Ab Jataye Kaun, Agar Wo Paas Aate To Mera Dil Bhi Jhum Ke Gata, Door Hai Kab Se Unhein Paas Bulaye Kaun, Aankhon Ki Juban “ Raaj ” Wo Nadan Samjhte Nahi, Ji Na Payenge Unke Bina Ye Baat Unhe Bataye Kaun.

Teer-E-Nazar Na Chod Abhi Main Apne Aap Ko Sabhal Loon, Ye Sab Tera Hi Hai Bas Apni Gazalein Sawar Loon, Mere Lafzon Mein Aks-E-Mohabbat Dekhta Rahe, Aa Is Kadar Tujhe Main Apne Ghazlon Mein Utar Loon, Raah-E-Hizra Par Ek Arse Se Safar Kar Raha Hoon, Agar Tu Kahe Tere Julfon Ke Saye Mein Ek Raat Guzar Loon, Phir Kabhi Lamha-E-Hizra Se Gujarna Na Pade, Tujhe Kuch Is Tarah Main Apne Dil Mein Basa Loon, Teri Chahton Ke Jahan Se “ Raaj “ Kabhi Door Na Jaun, Aa Tujhse Ab Apna Jahan-E-Khawab Saza Loon.

Kisi Ne Hume Phirse Rulaya To Kya Hua, Dil Ko Ek Baar Aur Dukhaya To Kya Hua, Tanha The Kab Se Mohabbat Ke Bawjood, Kisi Ne Phir Se Ehsaas Dilaya To Kya Hua, Kismat Mein Kya Tha Ye Pata Nahi Tha, Kisi Ne Ise Bahot Bura Bataya To Kya Hua, Sachhe Dil Se Chahte Rahe Hum Kisi Ko, Kisi Ne Mohabbat Mein Tadpaya To Kya Hua, Dil-O-Jaan Lootate Hum Raah-E-Ishq Mein, Kisi Ne Bewafai Se Aazmaya To Kya Hua, Hum Ne Bhool Ki “ Raaj “ Use Samajhne Mein, Usne Fareb Mein Behlaya To Kya Hua.

Idhar Aa Sitamgar Ek Hunar Aajmayein, Tu Teer Aajma Hum Hunar Aajmayein, Tum Gam Ke Jahaan Mein Mujhe Bhejo, Hum Apni Muskurahaton Ka Shehar Aajmayein, Tum Nazrein Churate Raho Izhar-E-Wafa Par, Aur Hum Nayi Mohabbat Ka Dagar Aajmayein, Khushi De Nahi Sakte Tum Mujhe Kabhi, Hum Bhi Teri Choton Ka Shehar Aajmayein, Teri Duniya Ko Chod Kar Ja Rahi Hoon Ab, Aa “ Raaj “ Ek Nayi Duniya Ka Safar Aajmayein.

Dukhon Ke Bhar Se Dabi Hai Meri Zindagi, Aansuon Ke Sitaron Se Saji Hai Meri Zindagi, Halat-E-Bebasi Apni Main Kah Bhi Nahi Sakta, Gamon Ke Zanjeer Se Bandhi Hai Meri Zindagi, Naseeb Mein Apne Ek Chhoti Si Khushi Bhi Nahi, Is Waqt Ke Toofan Mein Ujadi Hai Meri Zindagi, Ji Karta Hai Mita Doon Gamon Ke Sath Khud Ko, Magar Rishton Ki Dor Se Bandhi Hai Meri Zindgai, Sochta Hoon Ki Kabhi Bahar Bhi Aaye Ye Udaasiyo Mein, Magar Registaan Ki Dhup Mein Tapi Hai Meri Zindagi.

Bahut Mushkil Hai Sochna Kaise Izhaar Karun, Wo To Ek Khushboo Hai Kaise Giraftaar Karun, Khuda Jane Meri Kismat Mein Wo Hai Ya Nahi, Aarzoo Hai Aakhiri Saans Tak Uska Intezaar Karun, Agar Wo Haseen Meharban Ho Jaye Chahat Par, Sab Bhula Ke Main Sirf Use Hi Pyar Karun, Har Aarzoo Poori Nahi Hoti Ye Maloom Hai, Magar Aarzoo-E-Dil Se Main Kyon Inkar Karun, Deedar Ho Kafi Hai Mere Mohabbat Ke Liye, Dar Unki Narazgi Ka Hai Kaise Ikraar Karun, Wo Chahe Na Chahe “ Raaj “ Ye Uski Marzi Hai, Par Main Har Janam Mein Uspe Jaan Nisaar Karun.

Kaha Ye Kisne Ki Phoolon Se Dil Lagaun Main, Agar Tere Khayal Ko Chhodu To Mar Jaun Main, Mang Na Mujhse Tu Hisab Meri Mohabbat Ka, Aa Jaun Imtihan Pe To Had Se Guzar Jaun Main, Soch Nahi Sakta Ek Pal Bhi Door Rahna Tumse, Agar Tu Bhul Jaye To Toot Ke Bikhar Jaun Main, Kabhi Jannat Bhi Mile Mujhe Tere Pyaar Ke Badle, Mohabbat Ki Kasam Waha Bhi Mukar Jaun Main, Roshni-E-Wafa Se Sarbor Hai Zindagi Meri, Chirag-E-Wafa Main Bhi Tere Liye Jalaun Main,

Kya Karunga Agar Mohabbat Mein Nakam Ho Gaya, Mujhe To Aur Kuch Aata Nahi Bekaar Ho Gaya, Ishq Ke Siwa Aur Kuch Na Sikha Ham Ne, Sari Umar Meri Ye Mohabbat Ke Naam Ho Gaya, Wafa Ke Hi Sahare Jiye Ja Rahe The Ab Tak, Wafa Se Subah Hui Wafa Se Sham Ho Gaya, Nazar-E-Chahat Se Nazar Takraya Ek Baar, Ye Khuda Ka Mujhpe Inaam Ho Gaya, Mere Dil-O-Dhadkan Pe Naam Unka Hi Hai “ Raaj “ , Mere Jeevan Pe Unka Hi Adhikar Ho Gaya.

Kisi Ki Yaad Mein Ye Aankhein Kho Jati Hai, Pal Bhar Mein Rim-Jhim Barish Ho Jati Hai, Papi Aankhon Se Aksar Behte Hain Shabnam, Bahte Aansoo Dil Ke Daag Bhi Dho Jati Hai, Unko Dekhkar Ehsas-E-Tanhai Jagta Hai, Unki Behisi Se Sari Khawaish Dil Ki So Jati Hai, Chahtein Meri Tum Samajhna Nahi Chahte, Ye Khayal Aksar Palkein Bhigo Jati Hai, Kash Mere Naseeb Mein Bhi Kisi Ka Pyar Hota, Ye Tanhai Mujhe Khud Mein Samo Jati Hai, Thak Gaya Hoon Apne-Aap Se Ladte Hue “ Raaj “ , Mere Bebasi Samandar-E-Gham Mein Dubo

Dil Mein Aakar Samaye Koi-Koi, Pyar Ke Wade Nibhaye Koi-Koi, Hriday Ki Nagri Mein Prem Ke, Aake Deepak Jalaye Koi-Koi, Nazare Bahut Hai Dil Bahlane Wale, Dil Mein Chupke Se Samaye Koi-Koi, Tere Lafzon Ki Dilkashi Kon Nahi Janta, Magar Usmein Bhi Dard Jagaye Koi-Koi, Lakhon Kasme Khate Hai Sachhe Prem Ki, Magar Ahed-E-Ulfat Nibhaye Koi-Koi, Manzil Dil Ki “ Raaj “ Door Hai Bahoot, Raah-E-Wafa Pe Kadam Badhaye Koi-Koi,

Sab Kuch Apna Teri Mohabbat Mein Haar Ke, Main Ja Raha Hoon Ab Teri Khushiyo Ke Sansar Se, Viraan Hai Jahaan Dil Bhi Udaas Hai, Ab Kabhi Na Lotenge Wo Beete Din Bahar Ke, Ek Haseen Khawab Mila Wo Bhi Chaar Din Ke Liye, Bahut Dekhe Hai Hamne Honsle Yahaan Pyar Ke, Khud Se Bhi Begane Ho Gaye Ek Tere Liye, Soch Kya Beetegi Dil Pe Tere Ek Inkaar Se, Khuda Tujhe Har Khushi De Mere Liye Gham Kafi Hai, Main Bhi Dekhu Kya Hai Saza Ye Ikraar Ke, Sun Kar Meri Ghazle “ Raaj “ Agar Wo Muskra Degi, Ab Khushi Se Ja Sakenge Is Jahaan Se Dil Haar Ke.

Dekh Kar Usko Jo Is Dil Mein Samayi Hasratein, Mit Gaya Sab Kuch Magar Mit Na Payi Hasratein, Pehle Ruswa Humein Sare Bazar Kar Diya, Phir Humari Bebasi Par Muskrai Hasratein, Us Sitamgar Ne Humein Huzar Martaba Thukraya, Aaj Phir Uske Hi Dar Par Khinch Layi Husratein, Dard Ki Tarikiyon Mein Main Bhi Yun Bhatki Doston, Kabhi Ghazlon Mein “ Raaj “ Ki Jagmagai Hasratein.

Aag Mein Tapne Lagi Zindgani Kya Kare, Dard-O-Gum Likhne Lage Apni Kahani Kya Kare, Gamon Mein Doob Kar Muskarana Mushkil Hota Hai, Aankhon Mein Aaj Aata Aksar Pani Kya Kare, Jakhm-E-Dil Mitane Ki Koshish Karte Rahe, Na Mite Aisi De Gaye Wo Nishani Kya Kare, Aakar Wo Aksar Puchte Hai Udaas Kyon Ho, Wo Samajh Na Paye Kabhi Bejubani Kya Kare, Tanhai Hi Muqadar Hai “ Raaj “ Ye Baat, Mushkil Hai Khud Ko Ab Samjhani Kya Kare.

Kuch Nahi Jaan-E-Jigar Tum Agar Nahi

Kuch Nahi Jaan-E-Jigar Tum Agar Nahi, Phir Kaun Hai Bekhabar Tum Agar Nahi, Kosish-E-Izhaar To Bahot Ki Thi Mene, Agar Rah Gayi Koi Kasar Tum Agar Nahi, Na Umeedi Aur Tanhai Ki Ghata Ghir Kar, Chal-Chalati Hai Nazar Tum Agar Nahi, Ho Gaya Mera Saya Bhi Bewafa Mujhse, Kaun Hai Mera Hamsafar Tum Agar Nahi, “ Raaj “ Tum Khud Hi Aake Dekh Lo Mere Halat, Sari Duaein Hai Be-Asar Tum Agar Nahi.

Unse Milkar Hum Har Dard Pee Jate Hai, Haal-E-Dil Bhul Ke Bhi Lab Pe Nahi Late Hai, Rooh Ko Chain Milta Nahi Ab Maikhanon Se, Anjam-E-Ulfat Ab Soch-Soch Ke Ghabrate Hai, Fursat Kahan Hai Unko Jo Sune Wo Jazbaat-E-Dil, Doobti Hui Kashti Se Sab Aksar Nazarein Churate Hai, Jinse Hum Karte Hai Ahad-E-Wafa Ki Umeed, Wahi Log Aksar Koi Gahra Jakhm De Jate Hai, Naaz Tha Jinke Kurbat Pe Mujhe “ Raaj “ , Ajnabi Banke Wahi Log Nazarein Churate Hai.

Be Raunaki Se Tu Meri Ab Mujhe Nikal De, Meri Taraf Bhi Apni Thodi Mohabbat Uchhal De, Mera Bhi Ho Koi Mehboob Jahan-E-Wafa Mein, Mere Malik Itni Bhi Hasrat Meri Tu Nikal De, Mehfil-E-Dil Mein Dil Mein Hai Sirf Tera Hi Intezar, Jaam-E-Nazar Pi Ke Sambhal Na Saka Tu Mujhe Sambhal De, Nazaron Ko Pher Tera Wo Julfein Sawarana, Aasman Ke Fariston Ko Bhi Wo Uljhan Mein Daal De, “ Raaj “ Aa Raha Hai Kai Muddaton Ke Baad Aaj, Shikwe Taman Aaj Ke Tu Agle Kal Pe Taal De.

Jagte Aankhon Se Khawab Dikhati Hai Ye Aankhein, Har Ghadi Ek Kasak Mein Tadpati Hai Ye Aankhein, Dil Doob Jata Hai Inki Gehraiyon Mein Aakar Aksar, Ehsas-E-Mohabbat Dil Mein Jagati Hai Ye Aankhein, Pariyon Sa Chehra Ghataon Se Julfein Hai Aapki, Use Kuch Aur Bhi Katil Banati Hai Ye Aankhein, Chahat Ka Ehsas Iske Pehle Mehsoos Nahi Hua Tha, Ek Ajab Khayal Ka Ehsaas Dilati Hai Ye Aankhein, Tanhai Mein Aur Tadpati Hai “ Raaj “ Hasrat-E-Deedar, Jahan-E-Ishq Mein Humko Le Jati Hai Ye Aankhein.

Dil Bahalta Kahan Hai Ab Kisi Tasveer Ke Sath, Bahut Door Nikal Gaya Hoon Kisi Heer Ke Sath, Ek Jamane Se Uljhe Rahe Hai Pyaar Mein Unke, Kho Jata Main Unki Julfon Ki Tasveer Ke Sath, Koi Soorat To Bane Aapko Pane Ki Is Waqt, Koi Rishta To Ho Mere Khawab Ki Tabeer Ke Sath, Ye Bhi Mere Jazbaton Ka Izhaar Agar Aap Samjho, Ye Bhi Jahir Ho Raha Hai Meri Taqdeer Ke Sath, Lafaz-E-Mohabbat Bahut Chahat Se Likhe “ Raaj “ , Dekhte Kya Ho Tamasha Mere Tahreer Ke Sath.

Saturday, January 5, 2013

dil bahalta kahan hai ab

bahoot dur nikal gaya hun kisi heer ke sath

Jane Kiski Bad Dua Hai Yaaro, Main Kisi Ka Na Ho Saka Yaaro, Jo Khwaish Dil Mein Utarti Hai Kabhi, De Jati Hai Mujhko Wo Daga Yaaro, Sari Umar Mene Jise Chaha Pakijagi Se, Wo Hi Mujhko Na Mil Saka Yaaro, Jane Kya Aur Kaisi Badnaseebi Thi Meri, Mera Izhaar Bhi Wo Na Samjha Yaaro, Wo Muskara Deta Hai Nadani Se, Kaise Jazbat Bayan Karoon Yaaro, Zindagi Dariya Hai Gamon Ka “ Raaj “ , Iski Rahein Na Kabhi Napna Yaaro.

Agar Jakhmi Na Ho To Ye Jigar Achha Nahi Lagta, Be Aansoo Ye Mohabbat Ka Safar Achha Nahi Lagta, Bin Tere Ye Fiza Ye Baharein Kuch Bhi Nahi Hai, Agar Main Ghar Chala Jaun To Ghar Achha Nahi Lagta, Bhatak Ke Sari Duniya Se Yahi Laut Aata Hoon, Tere Dar-E-Chahat Ke Siwa Koi Dar Achha Nahi Lagta, Sawal-E-Ishq Pe Tum Bahane Kyon Banate Ho, Tu Saaf Kah De Main Agar Achha Nahi Lagata, “ Raaj “ Ye Sher-O-Shayari Mukhtib Hai Tere Liye, Magar Unhe Tera Balandi Ka Safar Achha Nahi Lagta.

Jagte Aankhon Se Khawab Dikhati Hai Ye Aankhein, Har Ghadi Ek Kasak Mein Tadpati Hai Ye Aankhein, Dil Doob Jata Hai Inki Gehraiyon Mein Aakar Aksar, Ehsas-E-Mohabbat Dil Mein Jagati Hai Ye Aankhein, Pariyon Sa Chehra Ghataon Se Julfein Hai Aapki, Use Kuch Aur Bhi Katil Banati Hai Ye Aankhein, Chahat Ka Ehsas Iske Pehle Mehsoos Nahi Hua Tha, Ek Ajab Khayal Ka Ehsaas Dilati Hai Ye Aankhein, Tanhai Mein Aur Tadpati Hai “ Raaj “ Hasrat-E-Deedar, Jahan-E-Ishq Mein Humko Le Jati Hai Ye Aankhein.

Manzar Kuch Aisa Ho Aas Paas Janab, Tera Khubsurat Chehra Chandni Raat Ho, Wo Waqt Aisa Ho Ki Ham Kho Jaye, Jab Doond Rahi Hai Humko Ye Kaynat Ho, Jab Ho Ye Apne Bekhudi Ka Aalam, Kya Fikar Hai Mehboob Se Jit Ho Ya Mat Ho, Kabhi Apne Hath Na Chudana Mujhse Tum, Aisa Lagega Jaise Yahaan Khushiyo Ki Barat Ho, Jab Aaoge Zindagi Mein To Wo Kya Pal Hoga, Jab “ Raaj “ Ke Pehlu Mein Yaar Ka Sath Ho.

Tere Pyar Ka Tajmahal Ho Jaun, Tere Honton Se Nikla Ghazal Ho Jaun, Meri Khwaishe Hain Anbujhi Paheli, Tu Agar Suljhaye To Main Haal Ho Jaun, Teri Bahon Mein Kabhi O Guzra Tha, Main Phir Wahi Raat Ka Pal Ho Jaun, Jiske Aangan Ki Bane Tu Roshni, Main Wo Sone Ka Mehal Ho Jaun, Umar Dopahar Ki Jo Aaye Kabhi “ Raaj “ , Main Tere Saye Ka Badal Ho Jaun.

Mit Gaya Hota Magar Jinda Hoon Tabeer Ke Sath, Roj Hota Hai Tamasha Meri Taqdeer Ke Sath, Kya Jaroori Hai Kayi Khawab Sunahra Dekhun, Umar Kat Jati Hai Ek Khawab Ki Tabeer Ke Sath, Chand Ghazlein Meri Logon Ki Juban Par Thi, Wo Mujhe Kaise Mitata Meri Taqdeer Ke Sath, Waqt Aksar Insan Ke Halat Badalte Hain, Kab Tak Kaid Rahege Koi Zulf Ki Janzeer Ke Sath, Kamyabi Meri Qismat Mein Hai Ya Nahi “ Raaj “ , Do Fasane Hain Mere Jahan Mein Ek Tasveer Ke Sath.

Aur fir na paun use